Ab Sab Kaam Buray Lagtay Hain | Afkar e Rooh – Thoughts of the Soul

Ab sab kaam buray lagtay hain
Kul ayyaam buray lagtay hain

Dekha hai mein ne mehshar ko bhi
Ab anjaam buray lagtay hain

Nazarah mila jannat ka bhi
Phal tamam buray lagtay hain

Bus saqi bura lagta hai na
Aur na jaam buray lagtay hain

Aur kuch log woh jo hon khaas
Ho kar aam buray lagtay hain

Ik fehrist hai jame jis mein
Sab ke naam buray lagtay hain

Jo manzil ki taraf na uthien
Har woh gaam buray lagtay hain

Haq par hain sab woh quaid jin ko
Yeh aaraam buray lagtay hain

– Salman tahir

اب سب کام برے لگتے ہیں
کل ایام برے لگتے ہیں

دیکھا ہے میں نے مہشر کو بھی
اب انجام برے لگتے ہیں

نظارہ ملا جنت کا بھی
پھل تمام برے لگتے ہیں

بس ساقی برا لگتا ہے نا
اور نا جام برے لگتے ہیں

اور کچھ لوگ وہ جو ہوں خاص
ہو کر عام برے لگتے ہیں

اک فہرست ہے جامع جس میں
سب کے نام برے لگتے ہیں

جو منزل کی طرف نا اٹھئیں
ہر وہ گام برے لگتے ہیں

حق پر ہیں سب وہ قائِد جن کو
یہ آرام برے لگتے ہیں

سلمان طاہر –

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *