Aik Sultan Phir Nazar Aaya | Afkar e Rooh – Thoughts of the Soul

Aik sultan phir nazar aaya
Le ke haq ki woh kal khabar aaya

Arsh pay tha saraapaa noor ka jo
Ban ke woh farsh pay bashar aaya

Looh mehfooz mein azal se tha
Phir abadd tak nagar nagar aaya

Haal hi mein hai toota dil tera
Yun hi na ishhq ke tu ghar aaya

Dunyan ne jo nichora tha tujh se
Woh tera rang phir nikhar aaya ?

– Salman Tahir

ایک سلطان پھر نظر آیا
لے کے حق کی وہ کل خبر آیا

عرش پے تھا سراپا نور کا جو
بن کے وہ فرش پے بشر آیا

لوح محفوظ میں ازل سے تھا
پھر ابد تک نگر نگر آیا

حال ہی میں ہے ٹوٹا دل تیرا
یوں ہی نا عشق کے تو گھر آیا

دنیاں نے جو نچوڑا تھا تجھ سے
وہ ترا رنگ پھر نکھر آیا؟

سلمان طاہر –

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *